Friday, December 2

Sochta Hoon Ke Woh Kitne Masoom Te

In this qawwali the poet struggles to find ways to describe what he has glimpsed of the beauty of God. The transfixing power of the singers and musicians gathered here is that through their song they raise the ordinary man to the exalted. 

Sochta Hoon Ke Woh Kitne Masoom Te, performed by Ustad Nusrat Fateh Ali Khan & Company and posted to YouTube. 

Lyrics provided by Muhammed Atif Suleman at another YouTube post of the same performance, since removed.) 

"Sochta hoon ki wo kitne te" (te is written below as "the")
Jaane wale Hamari mehfil se Chand taron ko saath leta ja Hum khizaon se nibah kar lenge Tu baharon ko saath leta ja Achchi soorat ko sawarne ki zaroorat kya hai Saadgi mein bhi kayamat ki Ada hoti hai Tum Jo aa jaate ho masjid mein Ada Karne namaaz Tumko maaloom hai kitnon ki kaza hoti hai Koi hasse to tujhe gham lage Khushi na lage Ki dillagi bhi tere dil ko Dillagi na lage Tu roz roya kare uth ke Chand raton mein Khuda Kare Tera mere bagair ji na lage Tanhai mein faryaad to kar sakta hoon Veerane ko aabad to kar sakta hoon Jab cha hoon tumhein mil nahi sakta Lekin Jab chahoon tumhein yaad to kar sakta hoon Koi bhi waqt ho has kar guzar leta hoon Khizan ke daur mein ehde bahar leta hoon Gulon se rang sitaron se roshni lekar Jamaal e yaar ka naksha utar leta hoon Uske nazdeek gham e tark e wafa kuch bhi nahi Mutmayin aise hai wo jaise hua kuch bhi nahi Ab to hathon se lakeeren bhi miti jaati hain Usko khokar to mere pass raha kuch bhi nahi Kal bicharna hai to phir ehde wafa soch ke bandh Abhi aagaz e mohabbat hai gaya kuch bhi nahi Main to is waaste chup hoon ki tamasha na bane Tu samajhta hai mujhe tujhse gila kuch bhi nahi Sochta hoon ke woh kitne masoom the Kya se kya ho gaye dekhte dekhte Maine patthar se jinko banaya sanam Wo khuda ho gaye dekhte dekhte Jin pattharon ko humne ata ki thi dhadkane Wo bolne lage to humhi pe baras pare Mere hathon se tarashe hue patthar ke sanam Mere samne hi bhagwan bane baithe hain Hashar hai wahshat e dil ki awargi Humse poocho mohabbat ki deewangi Jo pata poochte the kisi ka bhi Lapata ho gaye dekhte dekhte Humse ye soch kar koi wada karo Ek waade pe umrein guzar jayeng Ye hai duniya yahan kitne ehle wafa Bewafa ho gaye dekhte dekhte Din chup gaya suraj ka kahin naam nahin hai O wada shikan ab bhi teri shaam nahi hai O wada shikan... Shab e wada ye raha karti hain batein dil se Dekhein yaar aata hai pehle ki kaza aati hai Kal se bekal hoon main bhala khaak mujhe kal aaye Kal ka waada tha na wo aaj aaye na wo kal aaye Roz ka intezaar kaun kare Aap ka aitbaar kaun Kare Ho chuka wada ki kab aayiyega Dekhiye ab na bhool jayiyega Bhala koi wada khilafi bhi hadd hai Hisab apne dil mein laga kar to socho Kayamat ka din aa gaya rafta rafta Mulakat ka din badalte badalte Humse ye Soch kar koi wada karo Ek waade pe umrein guzar jayengi Ye hai duniya yahan kitne aehle wafa Bewafa ho gaye dekhte dekhte Gair ki baat tasleem kya kijiye Ab to khud par bhi humko bharosa nahi Apna saaya samajhte the jinko kabhi Wo juda ho gaye dekhte dekhte

********

No comments:

Post a Comment